■ Namaz Ka Phela Farz : Takbeer-e-Tehrimi
- Haqiqatan Ye Farz namaz Ki Sharait Me Se Hai, Magar Chunki namaz Ke Afaal (Kaamo) Se Iska Bahoot Zayada Istimaal Hai, Is Wajah Se Iska Shumaar Namaz Ke Faraiz Me Bhi Hua Hai.
- Taqbeer-e-Tehreema Yani “Allahu Akbar” Keh Kar Namaz Shuru Karna. “Taqbeer-e-Tehreema” Farz Hai, Iske Chorne Se Namaz Nahi Hogi.
- Namaz Ke Digar Arkaan (Ruku, Sajda) Ki Adaigi Ke Waqt Jo “Allahu Akbar” Kaha Jata Hai Usey “Taqbeer-e-Intekaal” Kaha Jata Hai, Taqbeer-e-Intekaal Sunnat Hai.
- Namaz Ke Tamam Sharait Yani Taharat, Satre Aurat, Istiqbaale Qibla, Waqt Aur Niyyat Ka Taqbeer-e-Tehreema Se Pehle Paya Jana Zaruri Hai. Agar “Allahu Akbar” Keh Chuka Aur Koi Shart Mafkood (Missing) Hai, To Namaz Qayam Hi na Hui.
Taqbeer-e-Tehreema Ke Muta’allik Se Zaruri Masail
(1) Mas’ala
Jin Namazo Me Qayam Farz Hai (Khade Hona) Un Me Taqbeer-e-Tehreema Ke Liye Bhi Qayam Farz Hai. Agar Kisi Ne Baithkar “Allahu Akbar” Kaha Phir khada Ho Gaya To Uski Namaz Shuru Hi Nahi Hui.
(2) Mas’ala
Imam Ko Ruku Me Paya Aur Muqtadi Taqbeer-e-Tehreema Kehta Hua Ruku Me Gaya Aur Taqbeer-e-Tehreema Us Waqt Khatam Ki, Ki Agar Haath Badaye (Lambe Kare) To Ghutne Tak Pahooch Jaye To Uski Namaz Na Hui.
(3) Mas’ala
Baaz (Kuch) Log Imam Ko Ruku Me Pa Lene Ki Garz Se Jaldi Me Ruku Me Jate Hue Taqbeer-e-Tehreema Kehte Hai Aur Kuch Jhookne Ki halat Me Taqbeer-e-Tehreema Kehte Hai Unki Namaz Nahi Hoti. Unko Apni Namaz Phir Se Dobara Padhni Chahiye”
(4) Mas’ala
Nafil Namaz Ke Liye Taqbeer-e-Tehreema Ruku Me Kahi To Namaz Na Hui Aur Agar Baith Kar Kahi To Ho Gayi.
(5) Mas’ala
“Jo Shaksh Takbeer Ke Talaffuz Per Kadir Na Ho, Maslan Goonga (Dumb) Ho Ya Kisi Wajah Se Zuban Band Ho Gayi Ho, Us Per Talaffuz Yani Mooh Se Bolna Wajib Nahi, Dil Me Irada kafi Hai, Yani Dil Me Keh Le.
(6) Mas’ala
Pehli Rakat Me Ruku Mil Gaya To Taqbeer-e-Ulaa Yani taqbeere tehrima Ki Fazilat Mil Gayi”
(7) Mas’ala
Taqbeer-e-Tehreema Me “Allahu akbar” Ka Jumla Kehna “Wajib” Hai
(8) Mas’ala
Taqbeere tehrima Ke Liye Dono Haatho Ka Kano Tak Uthana Sunnat Hai.
(10) Mas’ala
Taqbeere tehrima Me Hath Uthate Waqt Ungliyo Ko Apne Haal Per Chhod Dena Chahiye Yani Ungliyo Ko Bilkul Milana Bhi Na Chahiye Aur Batakalluf (Takleef Utha Kar) Khushada (Khuli) Bhi Na Rakhe Aur Yeh Sunnat tareeka Hai.
(11) Mas’ala
Taqbeere Tehrima Kehte Waqt Hatheliyo Aur Ungliyo Ka Peth (Inside Part Which Has Lines) Qibla Rukh Hona Sunnat Hai.
(12) Mas’ala
Dono Haatho Ko Taqbeer Kehne Se Pehle Uthana Sunnat Hai.
(13) Mas’ala
Taqbeere Tehrima Ke Waqt Sir (Head) Na Jhukana Balki Sidha Rakhna Sunnat Hai.
(14) Mas’ala
Khawateen (Ladies) Ke Liye Sunnat Ye Hai Ki Taqbeere Tehrima Me Hath sirf Kandha (Shoulders) Tak Uthaye.
(15) Mas’ala
Taqbeer-e-Tehreema Ke Baad Fouran Haath Bandh Lena Sunnat Hai. Hath Ko Latkana Nahi Chahiye Balke Taqbeere Tehrima Kehne Ke Fauran Baad Dono Haatho Ko Kan Se Hata Kar Naaf (Navel) Ke Neeche Bandh Lena Chahiye.
Note :
Baaz (Kuch) Log Taqbeere Tehrima Kehne Ke Baad Haatho Ko Seedha Kar Ke Latkate Hai Phir Hath Bandhte Hai, Aysa Nahi Karna Chahiye.
(16) Mas’ala
Imam Ka Taqbeere Tehrima Aur Taqbeere Intekaal Buland Awaz Me Kehna Sunnat Hai.
(17) Mas’ala
Agar Koi Shaksh Kisi Uzr (Reason) Ki Wajah Se Sirf Ek Hath Hi Kaan Tak Utha Sakta Hai, To Ek Hi Hath Kaan Tak Uthaye.
(18) Mas’ala
Muktadi Aur Akele Namaz Padne Wale Ko Taqbeere Tehrima Zeher (Buland Awaz) Se Kehna Ki Zarurat Nahi, Sirf Itni Awaaz Zaruri Hai Ke Khud Sun Le.
(19) Mas’ala
Taqbeere Tehrima Ke Waqt Hath Uthana Sunnat-e-Mo’aqqida Hai. Hath Uthana Tarq Karne (Chor Dene) Ki Aadat Se Gunahgaar Hoga. Taqbeer-e-Tehreema Me Hath Na Uthane Se Namaz Makhrooh Hogi.
(20) Mas’ala
Agar Imam Taqbeere Intiqaal Yani “Allahu Akbar Buland Awaaz Se Kehna Bhool Gaya Aur Aahista Kaha To Sunnat Tark Hui, Kyu Ki “Allahu Akbar”Poora Buland Awaaz Se Kehna Sunnat Hai. Namaz Me Karahat-e-Tanzihi Aayi Magar Namaz Ho gayi.
Taqbeer-e-Inteqaal— Ruku Sajda Kare Waqt Jo Taqbeer (Allahu Akbar) Kahi Jati Hai.