Mard Ko Chandi Ki 1 Anghoti 1 Nag Ki Wazan Me 4½ Mashay ( 4 gm 374 mg) Se Kam Ho, Pehanna Jaiz Hai. [1]
Mard Ke Liye Wohi Anghoti Jaiz Hai Jo Mardo Ki Anghoti Ki Tarah Ho Yani Sirf 1 Naginey Ki Ho Aur Agar Usme ( 1 Se Ziyada Ya ) Kai Naginey Hoto
Agarchey Woh Chandi (Silver) Hi Ki Ho Mard Ke Liye Najaiz Hai. [2]
Mardo Ke Liye 1 Se Ziyada (Jaiz Wali) Anghoti Pehenna Ya ( 1 Ya Ziyadah ) Challey Pehenna Bhi Najaiz Hai Ye (Chilla) Ooghoti Nahi. “Aurte Challey Pehn Sakti Hai. [3]
Mard Ko Sone (Gold) Ki Anghoti (Ring) Phenna Haraam Hai. Aaqa Huzoor RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wassallam) Nay Sone Ki Anghoti Pheney Se Mana Farmaya. [4]
Sarkar-e-Do Aalam Noor-e-Mujassam (Sallallahu Alaihi Wasallam) Nay Farmaya- “Lohey ki Unghoti Jahanamiyo Ka Zewar Hai”. [5]
Bagair Naginey Ki Anghoti Pehenna Najaiz Hai Ki Yeh Anghoti Nahi Chilla Hai.
Chandi Ka Challa Khaas Libas-e-Zanan (Aurto Ka Pehnawa) Hai , Mardo Ko Pehanna Najaiz Wa Gunaah Hai. [6]
Eidain Me Anghoti Pehanna Mustahab Hai. (Magar Mard Wahi Jaiz Wali Anghoti Pehney) [7]
Madina Munawwara Shareef Ya Ajmer Shareef Ke Chandi Ya Kisi Bhi Dhaat Ke Challey Aur Steel Ki Anghoti Bhi Jaiz Nahi.
Aurat Soney Chandi Ki Jitni Chahe Anghoti Aur Challey Pehan Sakti Hai, Is Me Wazan Aur Naginey Ki Tadad Ki Koi Qaid Nahi.
Jin Chizo Ka Pehanna Shariyat Me Najaiz Aur Mna Hai, Unko Pehankar Namaz Padna Makhrooh-e-Tehreemi Hai. Aur Us Namaz Ka Iyada (Dohrana) Wajib Hai.
Mard Ko Chandi (Silver) Ki Sirf Anghooti (Ring) Jo 4½ Masha (4.375 Gram) Se Kam Wazan Aur Sirf Ek Nag Ki Jaiz Hai.
Agar Kisi Ne, (ek)¹ Se Ziyada Anghooti Ya (ek)¹ Anghooti Magar 4½ Masha Se Ziyada Wazan Ki, Ya (ek)¹ Se Ziyada Nag Ki Pehankar Ya Sone (Gold) Ki Anghooti Ya Sone Aur Chandi Ki Zanzeer (Chain) Pehankar Namaz Padi To Namaz Makhrooh-e-Tehreemi Hogi. [8]
Agar Lohe, Pital, Tamba, Seesa Wagairah Ke Zewar Pehankar Mard Ya Aurat Kisi Ne Bhi Namaz Padi, To Namaz Makhrooh-e-Tehreemi Hogi. [9]
Yani Aap Ne Najaiz Anghoti Pehankar Sunnate, Nawafil, Wajib (Witr) Padi Hai Unko Fir Se Dobara Padna Aap Wajib Hai. Aur Bagair Jam’aat Ke Jo Farz Ada Ki Hogi Unko Bhi Dobara Padna Wajib Hai.
📕[1] Fatawa Razwiya, Jild: 22, Safa: 141
📗[2] Radh-ul-Mukhtaar, Jild : 9, Safa :597
📘[3] Bahare Shariyat, Jild :3, Safa : 427
📙[4] Sahih Bukhari shareef, Jild : 4, Safa : 67, Hadees No°: 5863
📓[5] Tirmizi Sharif, Jild : 3, Safa : 305, Hadees No° : 1792
📕[6] Fatawa Razwiya Jild: 22 Safa: 130
📗[7] Bahare Shariyat, Jild: 1, Safa: 779-780
📘[8] Fatawa Razwiya, Jild: 9, Safa: 56
📙[9] Fatawa Razwiya, Jild: 9, Safa: 14
Fatawa Razwiya, Jild: 3, Safa: 422
Allah Ta’ala Humey Ilm-e-Deen Sikhne Aur Uspar Amal Karne Ki Toufeeq De. Imaan Par Zindagi De Aur Imaan Par Hi Khatma Bil Khair Farmaye. Pyare Mustafa Se Sacchi Pakki Mohabbat Karne Ki Toufeeq De Aur Aaqa Ki Sunnat Par Amal Karne Ki Toufeeq De. Duniya Ke Tamam Musalmano Ki Izzat Wa Aabru Jaan Wa Maal Ki Hifazat Farmaye. (Allahumma Ameen)